Poet: Sidra Khan
Baadshah Tere Asaab Pe Taari Main Thi,
Wo bhi din thay k teri raaj-kumaari main thi..
.
Ye bhi such hai k mujhe maar diya hai tu ne,
Ye bhi such hai k tujhe jaan se piyaari main thi..
.
Saari dunya ko pata hai k tum mere ho,
Saari dunya ko pata hai tumhari main thi..
.
Dard kab tha wo tere dil mein junoon tha mera,
Ashq kab thay wo teri aankh se jaari main thi..
.
Ab tou ek jism hoon jis mein koi dharkan hai na dil,
Kabhi saanson ki tarha jaari-o-saari main thi..
.
Mujh ko dunya ne baantna chaha lekin,
Jis taraf dil tha udhar saari ki saari main thi.