Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Main kisi aur ki hon itna bata k roi

Main kisi aur ki hon itna bata k roi,
Woh mujhay mehndilagay hath dikha k roi,

Main bay qasoor hoon qudrat ka faisla hay yeh,
Lipat k mujh say woh bus itna bata k roi,

Mujh pay aik karb ka tofan ho gia haayel,
Jab meray samnay khat meray jala k roi,

Meri nafrat aur adawat pighal gai pal mein,
Woh bay-wafa hay to kiun mujh ko rula k roi,

Sab shikway meray ek pal mein behh gay "Wasi",
Jheel si aankhon mein jab aanson saja kar roi.

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre Tou Usey Kehna

Wo Shakhs Kabhi Dasht Se Guzre Tou Usey Kehna,
Ek Pal Mere Ghar Mein Bhi Thehre Usey Kehna,

Kehna Ke Samandar Ke Kinare Pe Na Jaey,
Kuch Log Samandar Se Bhi Hain Gehre Usey Kehna,

Zarkhaiz Zameen Kabhi Banjar Nahi Hoti,
Darya He Badal Lete Hain Rasta Usey Kehna,

Kuch Log Sagar Ke Liye Mozoon Nahi Hote,
Kuch Raste Kat-tay Nahi Tanha Usey Kehna,

Is Shehar Mein Such Keh Ke Gunehgaar Na Hona,
K Basti Ke Sabhi Log Hain Behre Usey Kehna.

Na main paas usko bula saka

~Na main paas usko bula saka~
~Na main dil ki baat bata saka~

~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K main hath tak na mila saka~

~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~

~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K main khud ko b na bcha saka~

~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~

~Usay jana tha wo chala gaya~
~Usay aaj tak na bhula saka.

Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya

Aisa Niyaaz-e-Ishq Ne Saada Bana Diya,
Hum Uss K Ho Gaye Ussay Apna Bana Diya

Taqdeer Ne, Falak Ne, Mohabbat Ne, Ishq Ne,
Jis Ne Bhi Chaha Mera Tamaasha Bana Diya

Veeraaniyan Samait Kar Saaray Jahan Ki,
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya

Ab Tum Mere Bano Na Bano Hai Tum Ko Ikhtiyaar,
Taqdeer Ne Tou Mujh Ko Tumhara Bana Diya....!

Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota

Tum jo hotay to mujhay kitna sahara hota
Main nay gheron ko na dukh mein pukara hota

Jitni shidat say wabasta tha mein tuj say
Kis tarha mera tere bagair guzara hota

Mujh ko yeh soch he kafi hay "Jalane k Liye"
Main na hota to koi or tumhara hota

Or hum baith k khamoshi say roye jatay 'Saqi'
Shaam hoti sharab hoti or kisi darya ka kinara hota

Ye to dil tha dewana k tum per aa gaya

Ye to dil tha dewana k tum per aa gaya
Warna hum qeemti pathron ko b uthaya nahi karte

Ye mana k tum haseen ho magar ye bhi sun lo
Hum haseen logon se dil lagaya nahi karte

Jis se karte hain piyaar bus ek hi baar karte hain
Baar baar hum bhi kisi ko sataya nahi karte

Tum to apne ho tum se kia parda
Warna hum raaz-e-dil kisi ko btaya nahi karte

Tum keh do to tumhare liye jaan bhi hazir
Warna hum zindagi dao per lgaya nahi karte

Wo kehta hai usay barish se mohabbat hai

=Wo kehta hai usay barish se mohabbat hai,
=Magar jab barish hoti hai to chat k neechay aa jata hai

=Wo kehta hai usay phool se mohabbat hai,
=Magar jab phool khilta hai to usay torr leta hai

=Wo kehta hai usay hawa se mohabbat hai,
=Magar jab hawa chalti hai to khirkiyan band ker deta hai

=Mujhe to tab tab darr lagta hai,
=Jab wo mujh say kehta hai k mujhe tum se mohabbat hai

Dil k lut jane ka izhar zarori to nahi

Dil k lut jane ka izhar zarori to nahi
Ye tamasha sar-e-bazar zarori to nahi

Muje tha ishq teri roh se or ab b hai
Jism se koi srokar zarori to nahi

Main tujhe toot k chahon tu meri fitrat hai
To b ho mera talabgar zarori to nahi

Ay sitam kash zara jhank meri ankhon mein
Zuban se pyar ka izhar zarori to nahi

Jo hum se mansub ho chuki hon

Jo hum se mansub ho chuki hon, Wo daastane sambhal rakhna
Meri amanat samaj kar, Beety dino ki yaaden sambal rakhna

In dino k liye jab me taweel Hijrat se lot aon
Udas shaamo mein sath dengi meri ghazlein sambhal rakhna

Siwaye teri talab k is dil mein koi b Aarzu nahi hai
Har ek jazba har ek dharkan har ek hasrat sambhal rakhna

Is dil ki hai bus yahi tamana tumhi se milna tumhi ko paana
Agar zara si ho dil mein chahat, meri wafain sambhal rakhna

Tu jahan rahey, meri duaon ki chaon ho

Tu jahan rahey, meri duaon ki chaon ho
Wo koi shehar ho ya gaon ho

Tere ankh mein nami na ho
Kisi shay ki tujhko kami na ho

Tujhe jo lage wo nazar na ho
Kis dukh ko teri khabar na ho

Teri rah mein qos-e-qazah rahey
RAzi tujh se rab ki raza rahey

Khushi tere paon ki dhool ho
Dua meri ye qabool ho (Ameen)

Related Posts Plugin for Blogger...