~Na main paas usko bula saka~
~Na main dil ki baat bata saka~
~Wo hansi hansi me hi chal diya~
~K main hath tak na mila saka~
~U hi sochta raha door tak~
Magar usko kuch na bata saka~
~Ye maqaam hi tha ajeeb sa~
~K main khud ko b na bcha saka~
~Wo juda hua to kuch is tarah~
~Koi rasam tak na nibha saka~
~Usay jana tha wo chala gaya~
~Usay aaj tak na bhula saka.