Ek Bachpan ka Zamana tha,
Jis mein khushion ka Khazana tha..
Chaahat Chand ko paanay ki thi,
Par Dil Titli ka Diwana tha..
Khabar na thi kuch Subha ki,
Na Sham ka Thikana tha..
Thak haar ka aana School se,
Par Khelne bhi jana tha..
Maa ki Kahani thi,
Pariyun ka fasana tha..
Barish mein Kaghaz ki Naav thi,
Har Mosam suhana tha..
Har khel mein Saathi tha,
Har Rishta nibhana tha..
Ghum ki Zuban na hoti thi,
Na Zakhmun ka Paimana tha..
Ronay ki waja na thi,
Na Hansnay ka Bahana tha..
Kyun ho gaye hum itne Baray,
Is se acha tou
Wo Bachpan ka Zamana tha.
Jis mein khushion ka Khazana tha..
Chaahat Chand ko paanay ki thi,
Par Dil Titli ka Diwana tha..
Khabar na thi kuch Subha ki,
Na Sham ka Thikana tha..
Thak haar ka aana School se,
Par Khelne bhi jana tha..
Maa ki Kahani thi,
Pariyun ka fasana tha..
Barish mein Kaghaz ki Naav thi,
Har Mosam suhana tha..
Har khel mein Saathi tha,
Har Rishta nibhana tha..
Ghum ki Zuban na hoti thi,
Na Zakhmun ka Paimana tha..
Ronay ki waja na thi,
Na Hansnay ka Bahana tha..
Kyun ho gaye hum itne Baray,
Is se acha tou
Wo Bachpan ka Zamana tha.