Raton ko jagney ki aadat mujhy bhi thi,
Usey taswor mein milny ki aadat mujhy bhi thi
Main tou aksar us ki yaad me kho jata tha,
Baithy baithy muskrany ki aadat mujhy bhi thi
Us k diye huwy zakhm koi mamoli na thay,
Pee kar dard bhulany ki aadat mujhy bhi thi
Wo tou kush rehta tha apny doston ki mehfil mein,
Usey chup kar dekhny ki aadat mujhy bhi thi,
Wo aa kar mujh sy bay wajha roth jata tha,
Usy har baar man'ny ki aadat mujhy bhi thi