Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai
##
Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon tou behtar hai
##
Dilon mein farq aayenge taalluq toot jayenge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai
##
Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..