Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Bohut farsoda lagty hain mujhy ab yaar k qisay

Bohut farsoda lagty hain mujhy ab yaar k qisay
Gul-o-gulzar ki batain lab-o-rukhsar k qisay

Yahan sb k muqdar mein faqat zakham-e-judai ha
Sbhi jhoty fasany hain wisal-e-yar k qisay

Bhala ishq-o-mohbat sy ksi ka pait bharta ha?
Suno tm ko sunata hun mein karobar k qisay

Mry ahbab kehty hn yahi ek aeib hy mujh mein
Sar-e-dewar likhta hun pas-se-dewar k qisay

Mein aksar is lye logoon se ja kr khud nahi milta
Wohi be-kar ki batein,wohi be-kar k qisay
Related Posts Plugin for Blogger...