Aarzo ki shiddat ko kaash tum samajh saktey
Meray dil ki chahat ko kaash tum samajh saktey
Kis tarha jalati hein sadain judai ki
Hijar ki qayamat ko kaash tum samajh saktey
Peyar k siwa mujh ko aur kuch nahi aata
Meri is aadat ko kaash tum samajh saktey
Jo dekhai detay hein, loug wo nahi 'wasi'
Sirf is haqiqat ko kaash tum samajh saktey