Apni dharkanon se kuch aise mera naam lo,
Ye waqt ruk jaye is lamhay ko thaam lo
Teri aankhon mein jhalak hay aisi mere piyaar ki
Saahil pe jese dhalti haseen shaam ho
Lafzon se hota nahi izhaar humse piyaar ka
Bus meri aankhon mein dekh kar khud ko pehcchaan lo
Jese tarasta hay sehra shabnam k choonay ko 'Wasi'
Kabhi wese rab se tum bhi mujhe maang lo
Hone lagi hai tujh se mohabbat usey kehna

Lagta hai har ek lamha qayaamat usey kehna
Milna to door tumse ai jaan-e-tamana
Hai sochna tumko aadat usey kehna
Dil pehle hi iqraar ki sooli pe khara hai
Daalo na intezaar ki aadat usey kehna
Mujh ko pyaar karne ki jo chahe saza do
Karna nahi logon se shikaayat usey kehna
Main tujhe chaahon, tujhe sochon, tujhe likhon
Koi dil mein na reh jae meray hasrat usey kehna

Un k andaz-e-karam, Un pe wo aana dil ka
"Un k andaz-e-karam, Un pe wo aana dil ka"
Haaye wo waqt, wo baatein, wo zamana dil ka
"Na suna usne tawajjo se fasana dil ka"
Umar guzri per dard na jana dil ka
"Dil lagi, dil ki lagi ban k mita deti hay"
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka
"Wo bhi apne na howe dil bhi gaya haathon se"
Aesy aane se tou behtar hay na aana dil ka
"Unki mehfil me Parveen un k tabasum ki adaa"
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka.

Kab hui pyaar ki barsat humen yaad nahi
Kab hui pyaar ki barsat humen yaad nahi
Khof may doobi mulaqat humen yaad nahi
Hum to mdhosh thay kuch itna us ki chahat may
Us ne kab chor dia saath humen yaad nahi
Zindagi jabr-e-musalsal ki trah kati hai
Janay kis jurm ki pae hai saza yaad nahi
Main ne palko se dar-e-yar dstak di hai
Main wo sahil hun jisay koi sada yaad nahi
Aao 1 sajda karain aalam-e-madhoshi mein
Log kehtay hain k saghar ko khuda yaad nahi

Jab udas ho to gunguna lena mujhko
Jab udas ho to gunguna lena mujhko,
Jab tumhara koi na bane to apna bana lena mujhko
Kabhi agar socho k tum se ziyada tumhen kon chahta hai,
To apne naam k sath phir se dohra lena mujhko
Hansne k liye to mil jayen ge hazaron tum ko,
Jab rone k liye na mile koi kandha to bula lena mujhko.

Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Matti se bana tha, Matti hi ban jaun ga
Is se aagay na kuch kar paya, na kar paun ga
Rota hua aaya tha, rulata hua jaun ga
Pairon ki dhool hon hawaon mein bikhar jaun ga
Jab dunia teri chor kar yahan se jaun ga
Dekh lena Dost, tum ko bohut yaad aaun ga.

Khuda ik pal usay mera bana de
Khuda ik pal usay mera bana de
Itna chahta hun usay koi usko bata de
Bohat naaz hai mujhe apni mahabbat par
Ho jaye wo mera aiasa koi mojza dikha de
Agar wo mera naseeb ban nahi sakta
Uske kadmon ki khak mujhe bana de

Hum ne use mohabbat mein
Hum ne use mohabbat mein chahne ki inteha kar di
Apni har khushi us par fida kar di
Kuch is andaz se us ne luta mujh ko
Meri zindagi mere liye saza kar di
Beth kar namaz mein mangi thi jis ki qurbat
Khuda ne usi hi ki judai ata kar di
Raat bhar rote hain ab use yaad kar k
Ab sochte hain k mohabbat hi ki thi k khata kar di
Tang aa kar jo khuda se mangi mout hum ne
Be-wafa ne humari lambi umar ki dua kar di

Jane q zindagi ab sehra lagti hai
"Jane q zindagi ab sehra lagti hai"
"Saans bhi loon tou zakhmon ko hawa lagti hai"
"Q har baat ki taseer mujh par ulti hai"
"Koi dua bhi de tu bad-dua lagti hai"
"Jeene ki tamana nahin mujh ko zara bhi"
"Saans lena bhi ab tou ik saza lagti hai"
"Apne dil ka haal sunaon bhi tu kise"
"Jab sari duniya hi mujhe vewafa lagti hai"
"Koi marham nahin milta mere dard ka mujh ko"
"Ab tou bas mout hi mere zakhmon ki dawa lagti hai"

Reza kanch ki surat mein bikhar jata hun

Main teri yaad mein jab had sy guzar jata hun
Ab gurezan hai wo milnay se jo kehta tha kabhi
Tum se miltay hi main kuch or nikhar jata hun
Roz khata hun tujay yaad na karnay ki qasam
Roz wadon sy main apnay hi mukar jata hun
Muh ko tamasha bana dia hai mohabbat ne teri
Log kastay hain awazien main jidhar jata hun
Har gham pe khaya hai mohabbat ka dhoka
Ab koi pyar se bulata hai to dar jata hun

Subscribe to:
Posts (Atom)