Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Rawayaton k silsilay kahan gaye khabar nahi

Rawayaton k silsilay kahan gaye khabar nahi
Wo jo chiragh thay na, kahan gaye khabar nahi

Wo log jin ki zindagi hawa k dosh par rahi
Wo mosamon k khof se kahan gaye, khabar nahi

Wo log jin ki shuala khizeyon pe ham ko naaz tha
Baghair kuch kahay sunay kahan gaye, khabar nahi

Faraaqaton k silsile adawaton tak aa gaye
Mohabbaton k qaafle kahan gaye, khabar nahi

Na subh zofishan rahi na sham naghma khuwaan rahi
Wo roshni wo ratt-jage kahan gaye, khabar nahi

Jo khaali haath aaye thay talab bhi sath laye thay
Wo wusaten samaet k kahan gaye, khabar nahi.

Related Posts Plugin for Blogger...