Koi kaantaa Chubhaa Nahi Hota,
Dil Agar Phool Saa Nahi Hota..
Kuch To Majbuuriyaan Rahi Hongi,
Yoon koi Bewafaa Nahi Hota..
Guftagu Un Se Roz Hoti Hai,
Muddaton Saamnaa Nahi Hota..
Jee Bohut Chahataa Sach Bolen,
Kiya karen Hosalaa Nahi Hota..
Raat ka Intazaar kon kare,
Aaj kal Din Mein kya Nahi Hota..!!