Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Khizaan k zard patton ka

Khizaan k zard patton ka wo manzar yaad karta hai
Ussy kehna bohat uss ko December yaad karta hai

Usy kehna k yakh-basta hawayein Zakhm deti hain
Usy kehna usy ik shakhs aksar yaad karta hai

Usy kehna k uss ko Bhol jana bas se bahir hai
Usy kehna usy koi barabar yaad karta hai.

Related Posts Plugin for Blogger...