Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskurana kya

Hum jaise tanha logon ka ab rona kya muskrana kya,
Jab chahne wala koi nahi phir jeena kya mar jana kya,
~..~
So rang mein jisko chaha tha so roop me jisko socha tha,
Wo jaan-e-ghazal to rooth gaya ab us ka haal sunana kya,
~..~
Awaz kisi ko dain lekin ek naam us ka honton par,
Har shakal mein ubhre wo hi bus khud ko magar behlana kya,
~..~
Raton ka safar hai din k liye or din me tamana raton ki,
Jab paon mein manzil kho jaye phir rukna kya ghar jana kya.
Related Posts Plugin for Blogger...