Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

December Ki Thatharti Ek Shab Wo Mere Paas Aai

December Ki Thatharti Ek Shab Woo Mere Pas Aai
Mujhy Kehny Lagi K
Aaj Sab Kuch Chor Aai Hoon
Tumhary Pyar Me Saray Hi Rishty Tor Aai Hoon
Wo Ghabrai Hui, Tooti Hui, Bikhri Hui Larki
Mujhy Kehny Lagi
Utho..!!
Yahan Se Door Chalty Hain
Bohat Hi Door Chaltay Hain
Tumhary Bin Kisi Sorat Mujhy Zinda Nahi Rehna
Mujhy Zinda Nahi Rehna, Mujhy Zinda Nahi Rehna
Woo Zaar-o-zaar Ro Di, Or Phir Mujh Me Simat Aai
Woo Apny Aanso;oon Se Bs Yahi Faryad Karti Thi
Chalo Jaldi Karo
Is Shehar Se Hum Bhag Chalty Hain
Bohat Hi Door Chalty Hian
Uss Ek Saa; At Me, Main Ny Baar Haa Socha
K Uss k Hukam Par,
Uss k Kahay Par Sar Jhuka Doon Main
Yeh Socha Baar Haa Main Nay,
K Main Usko Bhaga Kar Door Le Jaoon
Woo Ik Tooti Hui Larki
Woo Mere Payar Me Mehki Hui
Masoom Si Larki
Mere Seenay Se Lag Kar Der Tak Roti Rahi
Uss Shab
Woo Is Ehsas Me Gum Thi
K Manzil Mil Gaee Usko
Mere Khamosh Chehray Ki Taraf Woo Dekhti
Bas Dekhti Jaati
Uss Ik Saa;at Mere Andar Kaee Tofan Barpa Thay
Najanay Kis Tarah Main Ny
Kaha Us Se
K Bas Ab Laut Jao
Laut Jao, Phir Nhi Ana
"Khuda Ra Phir Nhi Ana"
Meri Yeh Bat Sun Kr
Us Ny Ik Be Yaqeni Se Mujhy Dekha
Wo Larki Shidat-e-gham Se Tarap Uthi
Sulag Uthi
Sakoot-e-marg K Alam Me
Wo Darwazay Ki Janib Aik dam Lapki
Wo Larki Phir Nhi Ai
Wo Ik Bikhri Hui Larki
Kabi Wapis Nhi Ai
Bohat Din Baad Kal Dekha
Usay Ik Ajnabi K Sath Gari Me
Or Uski Gaud Me Payra Sa Ik Bacha
Humakta Tha
Wo Larki Kis Qadar Khush Thi
Bohat Chaha Tha K Main UsKo Bhaga Kar Door Le Jaoon
Bohat Chaha December Ki Thatharti Raat Laut Aaey..


Related Posts Plugin for Blogger...