Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Apni Dunya Mein Youn Mast Rehta Tha Main

Apni dunya mein youn mast rehta tha main,
Mout ki fikr na karta tha main

Gunah ko gunah na samajhta tha main,
Lazzato k peechay bhagta tha main

Dil chahta tha kabhi k parhun namaz,
Par jism ko masjid tak na le ja pata tha main

Dunya ki ronaq mein rehta tha magan,
Waqt apna yari dosti mein barbaad karta tha main,

Phir ek din achanak aankhon k aagay andhera chaya,
Phir aankh khuli tou apne aap ko andheri qabar mein paya

Ghar jana chaha lekin ja na paya,
Dar lagta hai mujhe is andheray se awaz deta hun apnon ko
Lekon koi sunta nahi
Kya karun main kuch samajh nahi aata
Pata tha sub kuch kash pehle sambhal jata
*Kaash*
Related Posts Plugin for Blogger...