Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Is shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq k maaray

Is shehar-e-kharabi mein gham-e-ishq k maaray,
Zinda hein yahi baat bari baat hai piyaray

Ye hansta huwa chand ye purnoor sitaray,
Tabinda-e-painda hein zaron k saharay

Hasrat hai koi ghuncha humein piyar se dekhay,
Armaan hai koi phool humein dil se pukaray

Har subha meri subha pe hansti hai shabnam,
Har raat meri raat pe rotay rahay taaray

Kuch aur bhi hai kaam humein ay ghum-e-jana,
Kab tak koi uljhi hoi zulfon ko sanwaaray
Related Posts Plugin for Blogger...