Na Waqar-e-Dosti hai na Majal-e-Dushmani hai
Mery sath tum bhi chalna, mere sath tum bhi aana,
Gham k raston mein bari tez teergi hai
Ye mushahida nahi hay mery dard ki sada hai,
Mery Dagh-e-Dil luty hen, Teri bazm jab saji hai
Gham-e-Zindgi kahan hay abhi wehshaton se fursat,
Tery naz utha he len ge, abhi zindgi pari hai
Jisy apna yar kehna usy chorna bhanwar mein,
Ye Hadees-e-Dilbaran hay, ya Kamal-e-Dilbari hai.
Submitted By: Thoker |