Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Zameen pe chal na saka asman se bhi gaya

Zameen pe chal na saka asman se bhi gaya,
Kata k par to parinda uraan se bhi gaya

Bhula diya to bhulane ki inteha kardi,
Ab wo shaks mere wahm-o-guman se bhi gaya

Kisi k hath se nikla hua wo teer hoon main,
Jo hadaf ko choo na saka or kaman se bhi gaya

Tabah kargai mujhe pakke ghar ki khuwaish,
Main apne gaon k kachey makan se bhi gaya

Paraai aag main kooda to kya mila,
Usko to bacha na saka or apni jaan se bhi gaya.
Related Posts Plugin for Blogger...