Muje jeenay ki umeed dobara day do
Meri doobti kashti ko kinara day do
Main dard k sahil pe tanha khara hoon,
Phir aa k apni baanhon ka sahara day do
Tera daman to bhara hy sitaron se
Mujhe sadqay mein aik sitara day do
Mere aangan mein aaj andhera hai bohat
Meri dehleez ko Chraghon ka ujala de do.