Meri qismat mein bhi koi aisa sajda kar de
Jo merey sarey gunahoon ka madawa kar de
Sari dunia se chura kar mujhe apna kar de
Meri mitti ko khudaya tou ab sona kar de
Main tera chahnay wala hoon magar hain hasrat
Jinko tou chahta hai mujhko bhi waisa kar de
Ek nazar apnay gunahgaar pe kar k maula
Apni rehmat ka sazawaar hamesha kar de
Jis taraf chahonn faqat teray hi jalway dekhon
Shauq-e-Ulfat ko meray hadd se ziyada kar de
(Ameen)