Ek soona sa chand mere fasanay mein reh Gaya,
Main doosron ki shamain jalane mein reh Gaya,
Wo aa k mere Gaon se wapis b ja chuka,
Main tha k apnay Ghar ko Sajanay mein reh Gaya,
Wapis hua to Ghr mera Sholon ki zad main tha,
Main mandron k deep jalanay mein reh Gaya,
Har Pal faraib khaye aur muskra diya,
Ye rawaj sirf mere Ghrane mein reh Gaya,
Dunya se saari umr taruf na ho saka,
Ab tak main khud ko khud se milanay mein reh Gaya