Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz

"Aakhirat ko bhool betha fikr-e-dunya k evaz"
"Mout ka hamla achanak bekhabar kesa laga?"

"Hanste hanste tu ne dunya mein guzari zindagi"
"Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa laga?"

"Dafan kar k qabar mein sub berukhi se chal diye"
"Jis se tu manus tha ab wo bashar kesa laga?"

"Tu hansa karta tha auroon ko preshan dekh kar"
"Chal diya apno ko rota chor kar kesa laga?"

"Ab na wo takya mulayam aur na wo bistar narm"
"Jism pe 2 gaz kafan mitti pe sir kesa laga?"

Related Posts Plugin for Blogger...