Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha

Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha....
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha....

Us ki aadat ka zara ye pehlo to dekho...
Mujh say kiye waade wo kisi aur say nibhata raha....

Kuch khabar nahi wo shakhs kya chahta tha....
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha....

Tootay hoye taaluq mein bhi kitni mazbooti hai....
Main jitna bhulata raha wo utna hi yaad aata raha.@
Related Posts Plugin for Blogger...