Naye chiragh liye sham-e-be-kasi aai,,,,
K dil bujha to sitaron me roshni aai,,,,
Junoon-e-shok ny pohancha diya kahan mujko,,,,
Nigaah-e-dost b aksr thaki thaki aai,,,,
Hamary pas kahan ansuon ki soghaten,,,,
Kisi ko apna bna k bari hansi aai,,,,
Jahaan-e-daar-o-rasan ho k bazm-e-sher-o- sharab,,,,
Hamary samny apni he zindgi aai,,,,
Tumhari yaad ko araam-e-jaan bnaya tha,,,,
Tmhari yaad b lekin kbi kbi aai,,,,
Hazaar rang diye jis ny zindgani ko,,,,
Usi nazar sy mhbt me saadgi aai,,,,
Mery khaloos ka aalam na pochiye,,,,
Shikast-e-jaam sy awaaz-e-zindagi aai........!!