Bari tarap hai meri iltaja k pardey mein,
Main tum ko mang raha hon dua k pardey mein,
Usey b darr hai k ye raaz khul na jaye kahin,
Likhta hai naam mera wo Hina k pardey mein,
Main Uss k koochey se guzra to ye mehsoos hua,
Mujhe pukara hai Uss ne hawa k pardey mein,
Ajeeb tarz-e-maseehai Uss ne dikhlai,
Hayyat meri badal di dua k pardey mein,
Is tarha chehrey ko zulf mein chupaya Us ne,
K jaise chand chupa ho ghat? k pardy mein