Us k sath mein guzra zamana yad ata hy,
Zara c bat par hasna hasana yad ata hy
wo pehli c mulaqaten wo sharmai hoi batain
Wo manzar chandni shab ka suhana yad ata hy,
Wo uska roth kr baton hi baton main behel jana
Wo mra usko aisay main manana yad ata hy,
Wo honton pe tabas'sum sa wo baton main tran'num sa
Mohabat ka adhora sa fasana yad ata hy,
Uske bary mein jab bi sochta hon main kbi,
Nighaon se nigahon ka milana yad ata hy...