Andheri raat main shama jalana bhool jate hô
Hamari yad aati hai bulana bhool jate hô
Tumhari ek yehi aadat pareshan ham ko rakhti hai
Nazar main aa to jate ho samana bhool jate hô
Tumhare hath main aksar gulabi phool daikhe hain
Hamari rah main aksar bichana bhool jate hô
Tumhen tou lot jane ki aksar fikar rehti hai
Magar jab lot jate ho to aana bhool jate hô
Suna hai tum hatheli per hamara naam likhte hô
Magar jab hum sey milte ho dikhana bhool jaty hô..!