Aag k sheher mein tinkay ki haqiqat kya thi . ?
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi . ?
Zakhm thay dard tha tanhai thi Veerani thi . ?
Kya bataun k tere ishq me raahat kya thi . ?
Tujhko chaha hi nahi teri Ibadat ki hai . ?
Ek patthar ko magar us ki zarurat kya thi . ?
Ek muddat hui Izhar-e-Mohabat kar k
Aaj tak soch raha hun k himaqat kya thi . ?
Kya bataun k yahan poch rahay hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi..?