Tere hone par bhi khud ko tanha samjhun?
Me bewafa hu ya tujh ko bewafa samjhun?
Teri berukhi se waqt to guzar gya hai mera,
Ye khuddari hai ya teri anna samjhun?
Tere baad kya hal hona hy mera,
Ye teri anayet hai ya kaza samjhun?
Zakhm dete ho or marham bhi lagate ho,
Wasi ye teri aadat hai ya adda samjhun?