Mujh se milte hain toh miltay hain chura kar aankhein
Phir woh kis k liye rakhtay hain saja kar aankhein
Main unhein dekhta rehta hoon jahan tak dekhoon
Aik woh hain k jo dekhain na utha kar aankhein
Us jagha aaj bhi beth'ta hoon akela yaro
Jis jagha chhor gaye thay woh mila kar aankhein
Mujh say nazrein wo aksar chura leta hay Arman
Main ne khaghaz pay bhi dekhi hain bana kar aankhein