Mili har qadam pe rafaqat tumhari,
Kahan hum kahan yeh inayat tumhari
Humain chahiye bus ta'aluq tumhara,
Muhabbat mile ya adawat tumhari
Kisi se bhi milna usey jeet lena,
Bari dil nasheen hay ye aadat tumhari
Na dekha jahan mein koi aur tum sa,
Bari munfarid hay tabiyat tumhari
Humein zindagi k kathan raston mein,
Humesha rahe gi zarurat tumhari