Kyun mujh say gurezan ho mujhay saaf bata do,
Agar jurm mohabbat hai to phir us ki saza do,
Ab dard ki shiddat mein woh tezi nahi baqi,
Laao ab khanjar mujhay ek zakhm naya do..
Rakho na koi baat bhi tum dil mein chupa kar,
Main rah ki dewar hon tum mujh ko gira do,
Tarso na kabhi pyar ko meri yeh dua hai,
Aey kaash! faqat tum bhi mujhay ye hi dua do.