Jab yad ka qissa kholun to, kuch log bohat yad aate hain,
Main guzre pal jo sochon to, kuch log bohat yad aate hain
Ab janay konsi nagri me abad hain jakar muddat se,
Main raat gaye tak jagoon to, kuch log bohat yad aate hain
Kuch batein thi phulon jesi kuch lehjay khushbo jesy thay,
Main sheher-e-chaman mein tehloon to, kuch log bohat yad atay hain
Wo pal bhar ki narazgyan or maan bhi jana pal bhar mein
Ab khud se jab bhi rothun to kuch log bohat yad aaty hain.!!!@