Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Kiss qadar anokha hay raabta muhabbat ka

Kiss qadar anokha hay raabta muhabbat ka,
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka...

Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka...

Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hay,
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka...

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka...

Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hay,
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka
"= WASI SHAH = "
Related Posts Plugin for Blogger...