Jis trah ki hain yeh deewaaren, yeh dar jaisa b hay,
Sar chhupaany ko muyassar to hy Ghar jaisa b hay.
Es ko mujh se, mujh ko es se Nisbatain hain be'shumaar,
Meri chaahat ka hy Mehwar, yeh nagar jaisa b hay.
Chal parra hun, shoq-e-be'parwaah ko Murshad maan kar,
Raasta Pur'Paich hy ya, pur khatar jaisa b hay.
Sub gwaara hy Thakan, saari dukhan,
saari chubhan,Aik Khushoo k leay hai yeh safar jaisa b hay.
Woh to hy Makhsoos ik Muhabbat k leay,
Uska NOOR , Baa'hunar ,ya be'hunar jaisa b hay....