Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Hijr ki piyas me qatra bhi buhat hota hay

Hijr ki piyas me qatra bhi buhat hota hay,
Deed k wasty lamha bhi buhat hota hay

Jin k milne ki nahe dor tak koi umeed,
Unke kho jane ka khadsha bhi buhat hota hay

Wo agar paas nahe hay tu koi baat nahe,
Sirf ehsas ka dhoka bhi buhat hota hay

Jin pe hota hay maan buhat gehra,
Wo badal jaen tu sadma bhi buhat hota hay

Jin ke kho jane pe kho jaty hain hosh o hawas,
Unke mil jane ka nasha bhi buhat hota hay.
Related Posts Plugin for Blogger...