Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai

Ek chehra jo mere khwab saja deta hai
Mujh ko mere hi khayalon main sada deta hai

Woh mera kon hai maloom nahi hai lekin
Jab bhi milta hai to pahlu main jaga deta hai

Main jo ander se kabhi toot k bikhron
Woh mujh ko thamny k liye hath barha deta hai

Main jo tanha kabhi chupkay say bhi rona chahon
To Dil k darwazay ki zanjeer hila deta hai

Uski qurbat main hai kya baat na'janay "FARAZ"
Ek lamhay k liye sadiyon ko bhula deta hai.
Related Posts Plugin for Blogger...