Aana Meri Qabar Pe Do Phool Charha jana,
Rona Na Aaye Muskura K Chale Jana
:
Meri Qabar Pe Ek Baar Zaroor Aana,
Magar Shart Hai Aansoo Na Bahana
:
Takleef Hogi Rooh Ko Bhi Aansoo Jo Aap k Niklen gy,
Rooh Royegi Meri Rooh Ko Na Tarpaya Karna
:
Tere Khuwabon Mein Aya Karunga Zaroor,
Kabhi Yaad Kar K Meri Mohabat Ko Aazmaya Karna
:
Meri Qabar Pe Phool Na Charhana Aansoo'n k,
Bas Aakar Qabar Pe Apni Mohabat Ka Saya Karna
:
Meri Dua Hai Tera Ghar Khushboo Se Bhara Rahay,
Tu Khushi Ki Har Mehfil Mein Jaya Karna
:
Meri Yaad Mein Na Khona Kabhi Udaas Ho kar,
Apne Humsafar Ki Aagosh Mein So Jaya Karna