Home   |   Contact   |   About   |   Karachi Bus Routes   |   Privacy Policy

Kaisay kahoon k apna bana lo mujhe

Kaisay kahoon k apna bana lo mujhe
bahoun mein apni sama lo mujhe

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lo mujhe

Zindagi to woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lo mujhe

Meri sab say gehri khuwahish ho puri
Tum agar pass apnay bula lo mujhe

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein to sambhalo mujhe

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhe

Related Posts Plugin for Blogger...