"Ek Haqiqat"
~~
Main maut se darta hoon bohat
Par ek din marna hai zaroor
~
Main kafan dekh kar laraz jata hoon
Par ek din pehn'na hai zaroor
~
Main janaza dekh kar ghamgeen ho jata hoon
Par ek din mera janaza uthna hai zaroor
~
Main qabar k andhere se kaanp jata hoon
Par is mein rehna hai zaroor
~
Ye dunya achi lagti hai
Par isko chor kar jana hai zaroor
~
Phir bhi main ne aakhirat ki tayari nahi ki
Aur Allah ko hisaab dena hai zaroor:-