Karon kyon na bayan hamd-o-sana us khuda ki
K jis ne mujhey har khushi ataa ki
~
Kia darguzar meri har ik khata ko
Or mujh par apni rehmat sada ki
~
Main karta rahoonga tera shukar aey Rub
Meri zindagi ny jab tak wafa ki
~
Mujhe hay bohat aas bakhshish ki us sy
Kyon k Raheemi, Kareemi hay shaan us Khuda ki